tum
bhi toh abhi khamosh ho aur hum bhi
aur
na jaane kya kehti hai yeh khamoshi...
uss
din jab tum mile the humse yeh nahi pata tha ki
yeh
mulaquaat hogi humari aakhri...
aur
mehsoos hua tha tab ek dard dil mein jab tut gaya
humara
woh benaam sa rishta aur phir ban gaya ek naya rista
lekin
yeh nahi pata tha ki, yeh naya rista hoga yeh khamoshi...
haan
kuch lamhe ki thi yeh galatfehmi ki awaaz
lekin
jab tut kar giri yeh awaaz kaanch ki tarah ,
toh
bikar gayi aur ban gayi yeh khamoshi...
kuch
sawal the tumhare jiske jawab tab nahi the paas humare,
aur
jo the sawal humare woh kahin dab gaye aur bankar rahi gayi yeh khamoshi...
kabhi
agar phir se mann main aaye yeh sawal tumhare
toh
padh lena meri yeh khamoshi...
aur
jawab phir bhi na mile toh padh lena
humari
inn aankon main ,jahan boonde bankar behti hai yeh khamoshi....
nahi
thi galti tumhari jo tum hume samajh nahi paye...
naa
hi thi galti humari jo tumhe hum samjha bhi na paaye ,
phir
waqt beeth ta sa chala gaya aur reh gayi yeh khamoshi...
ab
toh subah se shyaam aur shyaam se raat beet jati hai,
waqt
bewaqt dil main dard ke toofan sa uth ta hai ,
phir
bhi chup rehti hai tumhari aur meri yeh khamoshi...
kehna
hai toh bahut kuch tumse magar kahun bhi toh kaise
jab
humare vich hai yeh khamoshi...
jaane
anjaane jo dard maine diya hai tumhe aaj phir
woh
dard batati hai tumhari yeh aankhein aur tumhari yeh khamoshi...
ab
itne tut gaye hain hum bhi ki bas
yehi
khwahish reh gayi ki tut jaye yeh sab doori aur bol uthe yeh khamoshi...
Rojalin Rose
Rojalin Rose.
Read more at: http://www.poetrysoup.com/poem/yeh_khamoshi_584979
Read more at: http://www.poetrysoup.com/poem/yeh_khamoshi_584979