Monday, December 31, 2012

Maa mujhe dar lagta hai

Maa mujhe dar lagta hai..bohot dar lagta hai...
Suraj ki roshni Aag si lagti hai..
Paani ki boondain bhi tejaab si lagti hain....
Maa hawa main bhi zahar sa ghula lagta hai...
Maa mujhe chhupa le ..bohot dar lagta hai...........

Maa yaad hai wo kaanch ki gudiya jo bachpan main tuti thi...
Maa kuch aise hi aaj main toot gayi hu...
Meri galti kuch bhi na thi maa fir bhi khud se ruth gai hu...

Maa bachpan main school teacher ki gandi Nazaro se dar lagta tha...
Padsos ke chacha ke napaak iraadon se dar lagta tha...
Aaa wo nukkat k ladko ki bekhouf baaton se dar lagta hai..
Aur ab Boss k wahshi isharon se dar lagta hai...
Maa mujhe chupa le..bohot dar lagta hai ....

Maa tujhe yaad hai tere angan main chidiya si fudak rahi thi..
thokar kha k main zameen par gir padi thi..
do boond khoon ki dekh k maa tu bhi ro padi thi...
Maa tune toh mujhe phoolon ki tarah pala tha..
Un darindo ka aakhir maine kya bigada tha...
Kyu wo mujhe is tarah masal k chale gaye...
Bedard meri rooh ko kuchal k chale gaye.....

Maa tu toh kahti thi apni gudiya ko dulhan banayegi...
Mere is jeewan ko khushiyo se sajayehi....
Maa kya wo din zindagi kabhi na layegi...
Maa kya ab tere ghar barat na aayegi??......

Maa khoya hai jo maine kya fir se kabhi na paungi??
Maa saans toh le rahi hu..kya zindgi jee paungi??
Maa goorte hain sab alag hi nazaron se...
Maa mujhe un nazaron se chupa le....
Maa bohot dar lagta hai mujhe
Aanchal main chhupa le...

- Anon

Grief

Numbness is a form of grief For those who wrestle with how they feel. It's an eerie silence of the mind Where large parts of the world g...